dil ishq-e-KHush-qadan mein jo KHwahan-e-nala tha
diwana-war silsila-jumban-e-nala tha
nale se mere kya hai hawai ko ham-sari
tir-e-shahab raat ko qurban-e-nala tha
DhunDun na kyunki dil ko main ai aahuwan-e-dasht
sine mein wo to sher-e-niyastan-e-nala tha
karta tha jin dinon ye falak hum se sar-kashi
nawak-zani ka aah se paiman-e-nala tha
ishq-e-butan tha dil se jo dam-saz misl-e-nai
har dam asar mein taba-e-farman-e-nala tha
sayyaad ke jigar mein kare tha sinan ka kaam
murgh-e-qafas ke sar pe ye ehsan-e-nala tha
gaDe falak pe kya ye dil-e-na-tawan alam
wo din gae jo auj-e-farawan-e-nala tha
kal shab ko zikr tha jo kisi neza-baz ka
aashiq ka tere charKH sana-KHwan-e-nala tha
yaron ke qafile ki mujhe jab ki yaad thi
sine mein jun jaras mere saman-e-nala tha
mat puchh wardat-e-shab-e-hijr ai 'nasir'
main kya kahun jo kar-e-numayan-e-nala tha
lene ko aKHtran-e-falak se KHiraj-o-baj
har aan shoala-o-sharar-afshan-e-nala tha
Ghazal
Dil ishq-e-KHush-qadan mein jo KHwahan-e-nala tha
Shah Naseer