dil husn ko dan de raha hun
gahak ko dukan de raha hun
shayad koi banda-e-KHuda aae
sahra mein azan de raha hun
har kohna yaqin ko az-sar-e-nau
ek taza guman de raha hun
gungi hai azal se jo haqiqat
main us ko zaban de raha hun
main gham ko basa raha hun dil mein
be-ghar ko makan de raha hun
be-jada-o-rah hai jo manzil
main us ka nishan de raha hun
jo fasl abhi kaTi nahin hai
main us ka lagan de raha hun
hasil ka hisab ho rahega
filhaal to jaan de raha hun
rakkhun jo lihaz maslahat ka
kya koi bayan de raha hun
Ghazal
Dil husn ko dan de raha hun
Saleem Ahmed