اردو हिंदी
Dil hi to hai nigah-e-karam se pighal gaya | Shaahi Shayari
dil hi to hai nigah-e-karam se pighal gaya

Ghazal

Dil hi to hai nigah-e-karam se pighal gaya

Nayyar Sultanpuri

;

dil hi to hai nigah-e-karam se pighal gaya
shikwa labon pe aa ke tabassum mein Dhal gaya

pahuncha na tha yaqin ki manzil pe main abhi
mera KHayal mujh se bhi aage nikal gaya

KHalwat bani hui thi teri anjuman magar
main aa gaya to bazm ka naqsha badal gaya

wan mutmain karam ki diya hai ba-qadr-e-zarf
yan iztirab-e-shauq mein saghar badal gaya

hai chashm-e-iltifat ko fikr-e-shikast-e-dil
shayad harif koi nai chaal chal gaya

pinhan tha laghzishon mein bhi ehsas-e-agahi
main kya sambhal gaya ki zamana sambhal gaya

KHira hai bazm-e-yar mein 'nayyar' nigah-e-shauq
shamen jalin ki daman-e-nazzara jal gaya