اردو हिंदी
Dil hi the hum dukhe hue tumne dukha liya to kya | Shaahi Shayari
dil hi the hum dukhe hue tumne dukha liya to kya

Ghazal

Dil hi the hum dukhe hue tumne dukha liya to kya

Obaidullah Aleem

;

dil hi the hum dukhe hue tum ne dukha liya to kya
tum bhi to be-aman hue hum ko sata liya to kya

aap ke ghar mein har taraf manzar-e-mah-o-aftab
ek charagh-e-sham agar main ne jala liya to kya

bagh ka bagh aap ki dastaras-e-hawas mein hai
ek gharib ne agar phul uTha liya to kya

lutf ye hai ki aadmi aam kare bahaar ko
mauj-e-hawa-e-rang mein aap naha liya to kya

ab kahin bolta nahin ghaib jo kholta nahin
aisa agar koi KHuda tum ne bana liya to kya

jo hai KHuda ka aadmi us ki hai saltanat alag
zulm ne zulm se agar hath mila liya to kya

aaj ki hai jo karbala kal pe hai us ka faisla
aaj hi aap ne agar jashn mana liya to kya

log dukhe hue tamam rang bujhe hue tamam
aise mein ahl-e-sham ne shahr saja liya to kya

paDhta nahin hai ab koi sunta nahin hai ab koi
harf jaga liya to kya sher suna liya to kya