اردو हिंदी
Dil hi rah-e-talab mein na khona paDa mujhe | Shaahi Shayari
dil hi rah-e-talab mein na khona paDa mujhe

Ghazal

Dil hi rah-e-talab mein na khona paDa mujhe

Akhtar Muslimi

;

dil hi rah-e-talab mein na khona paDa mujhe
hath apni zindagi se bhi dhona paDa mujhe

ek din mein hans paDa tha kisi ke KHayal mein
ta-umr itni baat pe rona paDa mujhe

ek bar un ko pane ki dil mein thi aarzu
sau bar apne aap ko khona paDa mujhe

barbaad ho gaya hun magar mutmain hai dil
sharminda-e-karam to na hona paDa mujhe

dekhi gai na mujh se jo tufan ki bebasi
kashti ko apni aap Dubona paDa mujhe

jalwe kahan kisi ke bisat-e-nazar kahan
zarre mein aaftab samona paDa mujhe

'aKHtar' junun-e-ishq ke maron ko dekh kar
ahl-e-KHirad hanse hain to rona paDa mujhe