dil hi nahin to dil ke sahaaron ko kya karun
jab pas tum nahin to bahaaron ko kya karun
jalwon se jis ke chand sitaron mein thi ziya
ab wo hasin nahin to sitaron ko kya karun
taswir aur tasawwur-e-jaanan ye sab fareb
main un se dur un ke nazaron ko kya karun
go jannat-e-nigah hon firdaus-e-rang hon
guzri hui hasin bahaaron ko kya karun
KHwabon se 'nur' chhin liya hai KHayal-e-yar
tere baghair tere ishaaron ko kya karun
Ghazal
Dil hi nahin to dil ke sahaaron ko kya karun
Noor Indori