dil hi mera faqat hai matlab ka
ya jigar bhi hai aap ke Dhab ka
qais o farhad se main hun waqif
ho chuka hai muqabla sab ka
khai hai ek nai miThai aaj
bosa paya hai yar ke lab ka
mai-kade mein sharab pite hain
ye pata hai hamare mashrab ka
shia sunni mein to bakheDe hain
nam lun kis ke aage mazhab ka
malak-ul-maut se kaho phir jaen
jite-ji mar chuka hun main kab ka
aap farmaen hijr ka ahwal
main karun zikr wasl ki shab ka
subh ko jhonke nind ke kaise
kahin jaga hua hai tu shab ka
us ke kucha ki bhik chahte hain
shauq jagir ka na mansab ka
rahe din bhar wo muddai mere
yaad kar ke muamla shab ka
barg-e-gul aa main tere bose lun
tujh mein hai Dhang yar ke lab ka
naqd-e-dil deta hun to kahte hain
wah aisa 'saKHi' hai tu kab ka
Ghazal
Dil hi mera faqat hai matlab ka
Sakhi Lakhnvi