اردو हिंदी
Dil hi dil mein sulag ke bujhe hum aur sahe gham dur hi dur | Shaahi Shayari
dil hi dil mein sulag ke bujhe hum aur sahe gham dur hi dur

Ghazal

Dil hi dil mein sulag ke bujhe hum aur sahe gham dur hi dur

Zia Jalandhari

;

dil hi dil mein sulag ke bujhe hum aur sahe gham dur hi dur
tum se kaun si aas bandhi thi tum se rahe hum dur hi dur

tum ne hum ko jab bhi dekha shukr-ba-lab the ya KHamosh
yun to aksar roe lekin chhup chhup kam kam dur hi dur

jal jal bujh gai konpal konpal kya kya arman KHak hue
aankhen to bhar lae pa baadal barse chham-chham dur hi dur

ek wo aan ki un ki zara si baat gawara kar na sake
ek ye haal ki yaad mein un ki roe paiham dur hi dur

tark-e-talab par KHush the ki aaKHir kaam liya danai se
kis ko KHabar hai jalte rahe tum jalte rahe hum dur hi dur