اردو हिंदी
Dil hi dil mein ghuT ke rah jaun ye meri KHu nahin | Shaahi Shayari
dil hi dil mein ghuT ke rah jaun ye meri KHu nahin

Ghazal

Dil hi dil mein ghuT ke rah jaun ye meri KHu nahin

Khawar Rizvi

;

dil hi dil mein ghuT ke rah jaun ye meri KHu nahin
aaj ai aashob-e-dauran main nahin ya tu nahin

sang ki surat paDa hun waqt ki dahliz par
Thokaron mein zindagi hai aankh mein aansu nahin

shab ghanimat thi ki raushan the ummidon ke KHutut
din ke sahra mein koi tara koi jugnu nahin

chaar jaanib ye saje chehre hain ya kaghaz ke phul
rang ke jalwe to hain lekin kahin KHushbu nahin

teri rahmat ka nahin har chand main munkir magar
sar pe jo chaDh kar na bole wo koi jadu nahin

maslahat hai jin ka maslak wo mere bhai kahan
jo na uTThen mere dushman par mere bazu nahin