dil har ghaDi kahta hai yun jis taur se ab ho sake
uTh aur sambhal ghar se nikal aur pas us chanchal ke chal
dekhi jo us mahbub ki hum ne jhalak hai kal ki kal
pai har ek tawiz mein apne dil-e-bekal ki kal
jab naz se hans kar kaha us ne are chal kya hai tu
kya kya pasand aai hain us naznin chanchal ki chal
hai wo kaf-e-pa narm-tar us ki ki waqt-e-ham-sari
Dale kaf-e-pa-e-sanam narmi wahin maKHmal ki mal
hum hain tumhaare mubtala muddat se hai ye aarzu
baiTho hamare pas bhi ai jaan kabhi ek pal ki pal
hai dam ghanimat ai 'nazir' ab mai-kade mein baiTh kar
tu aaj to mai pi miyan phir dekh lijo kal ki kal
Ghazal
Dil har ghaDi kahta hai yun jis taur se ab ho sake
Nazeer Akbarabadi