dil hamari taraf se saf karo
jo hua wo hua muaf karo
ahl-e-gulshan bahaar aa pahunchi
KHar-o-KHas se chaman ko saf karo
jab sitam hoga phir karam ke baad
to karam se mujhe muaf karo
mujh se kahti hai us ki shan-e-karam
tum gunahon ka e'tiraf karo
ye bhi aadat mein koi aadat hai
jo kaho us ke bar-KHilaf karo
kyun bujhao paheliyan be-kar
guftugu mujh se saf saf karo
ek do tin chaar panch nahin
sab KHataen meri muaf karo
husn un ko ye rae deta hai
kaam ummid ke KHilaf karo
hazrat-e-dil yahi hai dair-o-haram
mahfil-e-yar ka tawaf karo
tum saza do magar ba-hasb-e-qusur
main ye kahta nahin muaf karo
is mein bhi shan pai jati hai
ho koi baat inhiraf karo
saKHt-jaanon ka qatl khel nahin
kuchh dinon aur hath saf karo
tum ko qahr-e-karam-numa ki qasam
faisla mere bar-KHilaf karo
khulte hain dil ke itne hi jauhar
jitna is aaine ko saf karo
dil mein hain KHar-e-arzu lakhon
aao kanTon se ghar ko saf karo
tur-e-sina ki samt jaen kalim
'nuh' tum sair-e-koh-e-qaf karo
Ghazal
Dil hamari taraf se saf karo
Nooh Narvi