dil hamara jaanib-e-zulf-e-siyah-fam aaega
ye musafir aaj manzil par sar-e-sham aaega
go bura hai dil magar rahne diya hai is liye
ishq ki KHugar tabiat hai kabhi kaam aaega
ishq-e-dil kaamil nahin dekho abhi kholo na zulf
said jab shahbaz hai kyunkar na tah-e-dam aaega
qasid-e-marg aae ya aae tumhaara nama-bar
kah raha hai dil ki koi aaj paigham aaega
jam ghota kar ke kausar se mangai hai sharab
mujh ko farmate hain wo paband-e-islam aaega
nek namon ka ho majma bazm ho aarasta
aap KHush hon ya KHafa hon ek badnam aaega
tum naha lo jald warna rashk se mar jaunga
dam mein ab saya sar-e-diwar-e-hammam aaega
donon aankhen dil-jigar hain ishq hone mein sharik
ye to sab achchhe rahenge mujh par ilzam aaega
tark kar do shairi ko aql rakhte ho 'rashid'
ho chuke ho pir ab kya tum ko ye kaam aaega
Ghazal
Dil hamara jaanib-e-zulf-e-siyah-fam aaega
Rasheed lakhnavi