dil hamara ho gaya viran sahra ki tarah
mar gaya pyasa yahan har KHwab chiDiya ki tarah
is ka apni hi rawani par nahin hai iKHtiyar
zindagi shiw ki jataon mein hai ganga ki tarah
har muqadma de raha hai jism par koDe hazar
main adalat mein rakha hun pak gita ki tarah
ya to koi chahne wala yahan mera na ho
aur koi ho to ho radha ya mera ki tarah
zindagi meri ab us ki qabr mein mahfuz hai
wo jo mere dil mein rahta hai tamanna ki tarah
ek din mumkin hai main islam ka chehra banun
darmiyan logon ke hun filhaal charcha ki tarah
dagh hain jaan-o-jigar mein dil bana hai aag se
'mir' hun par hain mere ashaar 'sauda' ki tarah
Ghazal
Dil hamara ho gaya viran sahra ki tarah
Ayush Charag