dil hai viran bayaban ki tarah
gosha-e-shahr-e-KHamoshan ki tarah
hae wo jism tah-e-KHak hai aaj
jis ne rakkha tha hamein jaan ki tarah
sahab-e-KHana samajhte the jise
chal diya ghar se wo mehman ki tarah
chand suraj ka guman tha jis par
bujh gaya sham-e-shabistan ki tarah
saya-e-atifat ab sar pe nahin
saya-e-abr-e-gurezan ki tarah
hai agar apna muqaddar bhi to hai
tang bas tangi-e-daman ki tarah

Ghazal
Dil hai viran bayaban ki tarah
Ameeq Hanafi