dil hai to tere wasl ke arman bahut hain
ye ghar jo salamat hai to mehman bahut hai
main dad ka KHwahan nahin ai dawar-e-mahshar
aaj apne kiye par wo pasheman bahut hain
dil le ke khilaune ki tarah toD na Dalen
Dar mujh ko yahi hai ki wo nadan bahut hain
wo phul chaDhate hain dabi jati hai turbat
mashuq ke thoDe se bhi ehsan bahut hain
tum ko na pasand aae na lo pher do mujh ko
is dil ke KHaridar meri jaan bahut hain
DanTa kabhi ghamze ne kabhi naz ne Toka
KHalwat mein bhi sath un ke nigahban bahut hain
KHali bhi koi dil hai wahan ishq-e-sanam se
kahne ko to kabe mein musalman bahut hain
shayad ye asar ho meri aah-e-sahari ka
kuchh subh se wo aaj pareshan bahut hain
kya shab ko 'hafiz' un se yahin wasl ki Thahri
aaj aap ke ghar aish ke saman bahut hain
Ghazal
Dil hai to tere wasl ke arman bahut hain
Hafeez Jaunpuri