اردو हिंदी
Dil hai palkon mein simaT aata hai aansu ki tarah | Shaahi Shayari
dil hai palkon mein simaT aata hai aansu ki tarah

Ghazal

Dil hai palkon mein simaT aata hai aansu ki tarah

Tanveer Ahmad Alvi

;

dil hai palkon mein simaT aata hai aansu ki tarah
reshmi raat ki bhigi hui KHushbu ki tarah

zindagi aaj hai yaadon ke taaqub mein rawan
ret ke Tilon pe gard-e-ram-e-ahu ki tarah

aan ki aan mein tariKH badal jati hai
shikan-e-zulf ki surat KHam-e-abru ki tarah

taulne ke liye phulon ki taraazu bhi to ho
fikr o ehsas bhi tul jate hain KHushbu ki tarah

shahr-e-afsos mein apne hain na begane hain
ab dil o jaan ke bhi rishte hain man-o-tu ki tarah

bijliyan hain ki chamakti hain rag-e-jaan ke qarib
jam-e-sahba ki tarah halqa-e-gesu ki tarah

teri yaadon ki kahani to nahin hai 'tanwir'
dil pe dastak jo diya karta hai KHushbu ki tarah