dil hai na nishan be-dili ka
kya waqt paDa hai be-kasi ka
dekha kiye rasta kisi ka
tha shaghl ye apni zindagi ka
parwa-e-karam na shikwa-e-gham
allah re dimagh be-dili ka
main aur ye be-niyazi-e-shauq
ehsan hai josh-e-be-KHudi ka
marna marne ki aarzu mein
hasil hai ye apni zindagi ka
aansu bhar aae dil bhar aaya
gar nam bhi sun liya KHushi ka
aaKHir 'ibrat' ne jaan de di
kuchh pas kiya na be-kasi ka
Ghazal
Dil hai na nishan be-dili ka
Akbar Husain Mohani Ibrat