dil hai ki mohabbat mein apna na paraya hai
kuchh soch ke us ne bhi diwana banaya hai
jo waqt ki guzra hai jazbaat ke kuche mein
kuchh ras nahin aaya kuchh ras bhi aaya hai
aasan nahin ye aansu aaya hai jo palkon par
rag rag se lahu le kar dipak ye jalaya hai
ek rabt-e-hasin dekha be-rabti-e-alam mein
hangama sahi lekin hangama sajaya hai
pahchan liye hum ne tewar gham-e-dauran ke
duniya mein raha lekin dhoka nahin khaya hai
rahbar ho ki shaer ho kya apni KHabar us ko
KHud kuchh bhi nahin sikha duniya ko sikhaya hai
naghma hai 'nushur' apna afsurda-e-gham lekin
ehsas ki mahfil mein kuchh rang to aaya hai
Ghazal
Dil hai ki mohabbat mein apna na paraya hai
Nushur Wahidi