dil hai ki hamein phir se udhar le ke chala hai
ummid se phir rishta-e-jaan bandh liya hai
aahaT pe na chaunko ki na aaegi yahan maut
dastak pe na jao ki ye aawara hua hai
ab sang mudawa nahin aashufta-sari ka
yan sang se bhi phoD ke sar dekh liya hai
kya kijiye har kawish-e-darman hui mahdud
har jada-e-imkan hai ki masdud hua hai
zinda hain bahar-taur ki marna nahin bas mein
ta-umr hamare liye jine ki saza hai
ai dil kabhi patthar bhi kahin mom hue hain
jo KHwab mein dekha hai kahin sach bhi hua hai
Ghazal
Dil hai ki hamein phir se udhar le ke chala hai
Asif Jamal