dil hai bimar kya kare koi
kis tarah se dawa kare koi
jab ki tum bin kahin qarar na ho
phir batao ki kya kare koi
wo na apni rawish ko badlenge
chahe jo kuchh kaha kare koi
taqaton ne meri jawab diya
ab batao ki kya kare koi
baDhti jati hain dhaDkanen dil ki
aa bhi jae KHuda kare koi
un ko fursat kahan sanwarne se
ab jiye ya mara kare koi
jab talluq na koi baqi ho
kis tarah se wafa kare koi
sab ye taqdir ke karishme hain
kya kisi se gila kare koi
hum to talib nahin wafaon ke
kash hum se jafa kare koi
phir 'zaki' dil ko ye tamanna hai
hum se naz-o-ada kare koi
Ghazal
Dil hai bimar kya kare koi
Zaki kakorvi