dil hai apna to gham parae hain
hae kya kya fareb khae hain
tar ashkon ka kis tarah TuTe
hum bhi ek bar muskurae hain
takiya tha zad-e-rah par apna
rahzan kitne kaam aae hain
main ye samjha tha ham-safar honge
aah kitne muhib sae hain
bhul baiThe hun wo kahin ai dil
aaj kyun itne yaad aae hain

Ghazal
Dil hai apna to gham parae hain
Dil Ayubi