dil hai apna na ab jigar dar-pesh
hai teri chashm-e-mo'atabar dar-pesh
log bimar kyun na paD jate
jab ki tha husn-e-chaara-gar dar-pesh
main hua chahta tha be-qabu
zindagi ho gai magar dar-pesh
baat kahni hai aur is mein bhi
lafz-o-mani ka hai safar dar-pesh
ahl-e-naqd-o-nazar pareshan hain
jab se 'jami' ka hai hunar dar-pesh

Ghazal
Dil hai apna na ab jigar dar-pesh
Rahman Jami