dil hai apna na ab jigar apna
kar gai kaam wo nazar apna
ab to donon ki ek haalat hai
dil sambhaalun ki main jigar apna
main hun go be-KHabar zamane se
dil hai pahlu mein ba-KHabar apna
dil mein aae the sair karne ko
rah paDe wo samajh ke ghar apna
tha baDa marka mohabbat ka
sar kiya main ne de ke sar apna
ashk-bari nahin ye dar-parda
haal kahti hai chashm-e-tar apna
kya asar tha nigah-e-saqi mein
nashsha utra na umr bhar apna
chaara-gar de mujhe dawa aisi
dard ho jae chaara-gar apna
waza-dari ki shan hai ye 'jalil'
rang badla na umr bhar apna
Ghazal
Dil hai apna na ab jigar apna
Jaleel Manikpuri