dil hai aaina-e-hairat se do-chaar aaj ki raat
gham-e-dauran mein hai aks-e-gham-e-yar aaj ki raat
koi mansur se ja kar ye kaho ham-nafaso
hun ba-tazir-e-KHamoshi sar-e-dar aaj ki raat
gham ke mehwar pe hain Thahre hue aflak-o-nujum
meri mahfil mein nahin waqt ko bar aaj ki raat
na makan aaj hai sabit na zaman hai sayyar
na KHizan shoabada-ara na bahaar aaj ki raat
kabhi firdaus-e-gul-o-lala thi jo kisht-e-KHayal
us se be-saKHta ugte hain sharar aaj ki raat
bu-e-KHun aati hai sahra-e-tamanna se mujhe
khelta hun dil-e-wahshi ka shikar aaj ki raat
tujhe malum hai 'abid' ki bayaz dil par
naKHun-e-gham ne kiye naqsh-o-nigar aaj ki raat
Ghazal
Dil hai aaina-e-hairat se do-chaar aaj ki raat
Syed Aabid Ali Aabid