اردو हिंदी
Dil gaya tumne liya hum kya karen | Shaahi Shayari
dil gaya tumne liya hum kya karen

Ghazal

Dil gaya tumne liya hum kya karen

Dagh Dehlvi

;

dil gaya tum ne liya hum kya karen
jaane wali chiz ka gham kya karen

hum ne mar kar hijr mein pai shifa
aise achchhon ka wo matam kya karen

apne hi gham se nahin milti najat
is bina par fikr-e-alam kya karen

ek saghar par hai apni zindagi
rafta rafta is se bhi kam kya karen

kar chuke sab apni apni hikmaten
dam nikalta ho to hamdam kya karen

dil ne sikha shewa-e-beganagi
aise na-mahram ko mahram kya karen

marka hai aaj husn o ishq ka
dekhiye wo kya karen hum kya karen

aaina hai aur wo hain dekhiye
faisla donon ye baham kya karen

aadmi hona bahut dushwar hai
phir farishte hirs-e-adam kya karen

tund-KHu hai kab sune wo dil ki baat
aur bhi barham ko barham kya karen

Hyderabad aur langar yaad hai
ab ke dilli mein moharram kya karen

kahte hain ahl-e-sifarish mujh se 'dagh'
teri qismat hai buri hum kya karen