dil gaya dil se dil ki baat gai
wo gae lazzat-e-hayat gai
ghunche afsurda phul pazhmurda
fasl-e-gul jaise un ke sat gai
un ke jalwe nigah mein na rahe
raunaq-e-bazm-e-kaenat gai
dil-e-nadan ko lakh samjhaya
kuchh na samjha ye sari raat gai
saya-e-zulf mein jo guzri thi
kaun jaane kidhar wo raat gai
uTh gaya parda-e-ajal jis dam
ek hayat aai ek hayat gai
'shauq' bazm-e-jahan ki raunaq hai
ye gaya ruh-e-kaenat gai
Ghazal
Dil gaya dil se dil ki baat gai
Shauq Bijnori