dil gaya dil-lagi nahin jati
rote rote hansi nahin jati
aankhen saqi ki jab se dekhi hain
hum se do ghunT pi nahin jati
kabhi hum bhi taDap mein bijli the
ab to karwaT bhi li nahin jati
un ko sine se bhi laga dekha
hae dil ki lagi nahin jati
baat karte wo qatl karta hai
baat bhi jis se ki nahin jati
aap mein aae bhi to kya aae
lazzat-e-be-KHudi nahin jati
hain wahi mujh se kawishen dil ki
dost ki dushmani nahin jati
ho gae phul zaKHm-e-dil khil kar
nahin jati hansi nahin jati
Ghazal
Dil gaya dil-lagi nahin jati
Jaleel Manikpuri