اردو हिंदी
Dil gaya dil ka nishan baqi raha | Shaahi Shayari
dil gaya dil ka nishan baqi raha

Ghazal

Dil gaya dil ka nishan baqi raha

Zaheer Dehlvi

;

dil gaya dil ka nishan baqi raha
dil ki ja dard-e-nihan baqi raha

kaun zer-e-asman baqi raha
nek-namon ka nishan baqi raha

ho liye duniya ke pure karobar
aur ek KHwab-e-giran baqi raha

rafta rafta chal base dil ke makin
ab faqat KHali makan baqi raha

chal diye sab chhoD kar ahl-e-jahan
aur rahne ko jahan baqi raha

karwan manzil pe pahuncha umr ka
ab ghubar-e-karwan baqi raha

mil gae miTTi mein kya kya mah-jabin
sab ko kha kar aasman baqi raha

miT gae ban ban ke kya qasr o mahal
nam ko ek la-makan baqi raha

aarzu hi aarzu mein miT gae
aur shauq-e-astan baqi raha

aish o ishrat chal base dil se 'zahir'
dard o gham bahr-e-nishan baqi raha