dil furqat-e-habib mein diwana ho gaya
ek mujh se kya jahan se begana ho gaya
qasid ko ye mila mere paigham ka jawab
tu bhi hamari rae mein diwana ho gaya
dekha jo un ko baam pe ghash aa gaya mujhe
taza kalim-o-tur ka afsana ho gaya
han han tumhaare husn ki koi KHata nahin
main husn-e-ittifaq se diwana ho gaya
dekha gaya na bazm mein soz-o-gudaz-e-shama
phulon ki pankhiyan par-e-parwana ho gaya
yun sab se puchhte hain wo mere junun ka haal
diwana ban gaya hai ki diwana ho gaya
aansu bahae furqat-e-saqi mein is qadar
labrez apni umr ka paimana ho gaya
dil un ke bas mein hai mujhe kya dil par iKHtiyar
kaisa rafiq ishq mein begana ho gaya
josh-e-junun mein chhoD diye sab ne apne ghar
aabaad un ke ahd mein virana ho gaya
un ko to apni jalwa-numai se kaam hai
is ki KHabar nahin koi diwana ho gaya
ab har taraf raqib par uThti hain ungliyan
mashhur un ke ishq ka afsana ho gaya
is darja 'hijr' hosh-ruba hai kisi ka husn
jis ki nigah paD gai diwana ho gaya
Ghazal
Dil furqat-e-habib mein diwana ho gaya
Hijr Nazim Ali Khan