dil-e-zinda KHud rahnuma ho gaya
ye qibla hi qibla-numa ho gaya
hua rang-e-duniya mein kyun shefta
tujhe bul-hawas hae kya ho gaya
ye parda hi tha parda-posh-e-nazar
hijab uTh gaya KHud-numa ho gaya
yahi KHud-shanasi KHudai hui
KHudi miT gai jab KHuda ho gaya
anal-haq hual-haq jo aaya nazar
ye shorida-sar KHud-numa ho gaya
tarruz hual-haq jo aaya nazar
tashshuq mein sab faisla ho gaya
tajalli hui jis ko tauhid ki
wo qaid-e-dui se riha ho gaya
ye kya chiz tha 'saqi' hech-kas
tere fazl se kya se kya ho gaya
Ghazal
Dil-e-zinda KHud rahnuma ho gaya
Pandit Jawahar Nath Saqi