dil-e-wahshi tujhe ek bar phir zanjir karna hai
ki ab is se mulaqaton mein kuchh taKHir karna hai
mere pichhle bahane us pe raushan hote jate hain
so ab mujh ko naya hila nai tadbir karna hai
kaman-daron ko is se kya gharaz pahunche ki rah jae
unhen to bas ishaare par rawana tir karna hai
abhi imkan ke safhe bahut KHali hain duniya mein
mujhe bhi ek nauha ja-ba-ja tahrir karna hai
Ghazal
Dil-e-wahshi tujhe ek bar phir zanjir karna hai
Asad Badayuni