dil-e-sozan-e-ashiq maKHzan-e-rang-e-wafa hoga
wo hissa qadr ke qabil hai jitna jal gaya hoga
chale the dard ko sun kar thame ye kah ke raste mein
na jaana ab munasib hai wo kab ka mar gaya hoga
ye ek bose pe itni bahs ye zeba nahin tum ko
nahin hai yaad mujh ko KHair achchha le liya hoga
chhiDi thin husn ki bahsen idhar chand aur idhar tum the
kisi ko dekh kar be-parda koi chhup gaya hoga
andhere ghar ki kuchh parwa nahin hai tira-baKHton ko
tum aao qabr par raushan charagh-e-naqsh-e-pa hoga
murawwat ki to surat bhi nahin dekhi un aankhon ne
agar dhamkaun marne par to kah dega ki kya hoga
tamasha jaankani ka kyun na dekha dekh to lete
ragen jitni khichi thin dam bhi utna hi khicha hoga
tum aao dekhne wala nahin koi sar-e-madfan
charagh-e-qabr afsurda tha kab ka bujh gaya hoga
abhi to aag sine mein kahin kam hai kahin zaid
agar mil jaenge aapas mein sab chhaale to kya hoga
chamak uTThi jo mere zaKHm-e-dil mein kya qayamat hai
falak par chand nikla hoga ya koi hinsa hoga
hamin se puchh lo kaise ho tum aur husn kaisa hai
agar aaine ko dam bhar na dekhoge to kya hoga
gham-e-furqat ka kya shikwa qayamat aane wali hai
KHuda ke samne aaKHir to ek din samna hoga
yahi 'jawed' behtar hai ki ab tauba se kar tauba
wahi chhup kar piyega mai jo tum sa parsa hoga
Ghazal
Dil-e-sozan-e-ashiq maKHzan-e-rang-e-wafa hoga
Javed Lakhnvi