dil-e-shorida bata teri ye aadat kya hai
hum se hi puchh raha hai ki mohabbat kya hai
na mohabbat na murawwat na mulaqat rahi
gar yahi dosti Thahri to adawat kya hai
hum na kahte the ki yaadon ko sambhaale rakhna
ab jo tanhai ka aalam hai to hairat kya hai
ghair ko sath liye aae ho hum se milne
fitna-angezi ye kaisi ye qayamat kya hai
zulf zanjir-e-sitam tegh-e-jafa hain abru
dil-e-wahshat-zada ab bachne ki surat kya hai
kaisi be-mehri se ruKHsat hua wo toD ke dil
puchh to leta teri aaKHiri hasrat kya hai
kis liye zinda hun main us se bichhaD ke 'mushtaq'
mujh se puchho ki mere dil mein nadamat kya hai
Ghazal
Dil-e-shorida bata teri ye aadat kya hai
Mushtaq Singh