dil-e-pur-KHun ko yaadon se ulajhta chhoD dete hain
hum is wahshi ko jangal mein akela chhoD dete hain
na jaane kab koi bhige hue manzar mein aa nikle
dayar-e-ashk mein palken jhapakna chhoD dete hain
use bhi dekhna hai apna mear-e-pazirai
chala aae to kya kahna taqaza chhoD dete hain
ghamon ki bhiD jab bhi qarya-e-jaan ki taraf aae
bilakte KHwab KHamoshi se rasta chhoD dete hain
kisi ki yaad se dil ko munawwar tak nahin karna
isi ka nam duniya hai to duniya chhoD dete hain
hamein KHushbu ki surat dasht-e-hasti se guzarna tha
achanak yun hua lekin ye qissa chhoD dete hain
zara se ashk mein chhup kar un aankhon mein nahin rahna
chalo 'aslam' hami ku-e-tamanna chhoD dete hain
Ghazal
Dil-e-pur-KHun ko yaadon se ulajhta chhoD dete hain
Aslam Kolsarii