dil-e-pur-KHun jo jam hai mera
KHun sharb-e-mudam hai mera
rind-o-awara nam hai mera
sab mein ye ehtiram hai mera
aariz o zulf-e-yar ka dhyan
munis-e-subh-o-sham hai mera
umr guzri ki misl-e-naqsh-e-qadam
us ki rah mein qayam hai mera
aah ek din bhi dekh kar na kaha
ye bhi kui naqsh-e-gam hai mera
qasid us harf-e-na-shunu tak jald
yahi jagah payam hai mera
abhi aana hai to shitabi aa
kaam warna tamam hai mera
hai usi but ke taq-e-abru ko
jo sujud o salam hai mera
gah be-KHud hun gah ba-KHud har dam
kuch aur ye maqam hai mera
ai 'jahandar' hun main said-e-asir
har KHam-e-zulf dam hai mera
Ghazal
Dil-e-pur-KHun jo jam hai mera
Meerza Jawan Bakht Jahandar