dil-e-na-mutmain andesha-e-barq-e-tapan mein hai
jo be-tabi qafas mein thi wahi ab aashiyan mein hai
meri be-tabi-e-dil ki samajh mein kuchh nahin aata
KHuda jaane tera harf-e-tasalli kis zaban mein hai
yahi andaz hain to gham nahin kuchh buad-e-manzil ka
umangen jag uThi hain zindagi si karwan mein hai
usi ke rag se gunjenge kal rahen masarrat ki
ye mana aaj insan manzil-e-ah-o-fughan mein hai
koi nisbat nahin manzil-rasi ko rah-nawardi se
wo lazzat kaamyabi mein kahan jo imtihan mein hai
ye taKHsis-e-chaman kya iltija-e-baghban kaisi
bahut ai himmat-e-parwaz gunjaish jahan mein hai
Ghazal
Dil-e-na-mutmain andesha-e-barq-e-tapan mein hai
Nihal Sevharvi