اردو हिंदी
Dil-e-muztar teri furqat mein bahlaya nahin jata | Shaahi Shayari
dil-e-muztar teri furqat mein bahlaya nahin jata

Ghazal

Dil-e-muztar teri furqat mein bahlaya nahin jata

Jameela Khatoon Tasneem

;

dil-e-muztar teri furqat mein bahlaya nahin jata
kisi pahlu se ye nadan samjhaya nahin jata

namak-pashi mere zaKHmon pe ye kah kah ke karte hain
zara si baat mein yun ashk bhar laya nahin jata

Daraata kyun hai ai naseh mohabbat ki kashakash se
phansa kar dil ko is kuche se katraya nahin jata

meri zulfen haTa kar ruKH se wo kahte hain hans hans kar
andheri raat hai aise mein sharmaya nahin jata

gham-o-alam ne is darja hum ko kar diya ghayal
KHud apni dastan ko hum se dohraya nahin jata

baDi is bekasi ki manzilen pur-haul hoti hain
kisi se jab koi 'tasnim' apnaya nahin jata