dil-e-muztar mujhe ek baat bata sakta hai
tu kisi taur mujhe chhoD ke ja sakta hai
ye teri bhul hai main tere sabab zinda hun
mujh sa ziddi to badan toD ke ja sakta hai
jis ne is KHak ke insan ko izzat di hai
wahi is KHak ko miTTi mein mila sakta hai
to mere sath to hai phir bhi mere sath nahin
is se baDh kar bhi mujhe koi sata sakta hai
mere maula meri tanhai miTane ke liye
mere jaisa hi tu ek aur bana sakta hai
mujhe malum hai milna nahin mumkin lekin
tu kisi raat mere KHwab mein aa sakta hai
meri ulfat ka sar-e-bazm tamasha kar ke
aap apne ko tu itna bhi gira sakta hai
zaKHm-e-ulfat se nawaza tu mera mohsin hai
tu meri zat pe ehsan jata sakta hai
apne dilbar ke bulawe pe bahane kaise
wo to mahbub hai jab chahe bula sakta hai
wo jo rote ko hansane ka hunar rakhte hain
gar wo roen to unhen kaun hansa sakta hai
apni marzi se mujhe chhoD ke jaane wala
meri yaadon ko kabhi dil se miTa sakta hai
mujh ko jine se mohabbat na mohabbat ki hawas
meri tarah koi jazbon ko sula sakta hai
siyah-baKHti mein teri zat bhi shamil hai 'ali'
tu kisi taur use dur haTa sakta hai
Ghazal
Dil-e-muztar mujhe ek baat bata sakta hai
Ali Sarmad