dil-e-muztar ki dawa kijiyega
na ho mumkin to dua kijiyega
baam-e-ulfat se to gul hi barsen
talKHi-e-jaan na siwa kijiyega
bar-e-jaan ko to zara kam kije
qarz ehsan ka ada kijiyega
jaan-ba-lab hain jo KHizan mein ashjar
zard patton ki hawa kijiyega
shab-e-furqat ke taqaze jo hon
dil ko dil se na juda kijiyega
be-nishan aap ke diwane hain
ji se guzren to pata kijiyega
apnon mein raat guzaren 'rahi'
kal safar nam-e-KHuda kijiyega
Ghazal
Dil-e-muztar ki dawa kijiyega
Syed Nawab Haider Naqvi Rahi