dil-e-majruh jab bhi ek nai karwaT badalta hai
gul-e-har-zaKHm se hansta hua nashtar nikalta hai
hua hai aur na hoga sard dast-e-jaur gulchin se
sharar-e-dil jo mauj-e-rang-o-bu ban kar uchhalta hai
yahan kuchh kam nahin diwangi se hosh ka dawa
udhar sina-sipar hun main jidhar se tir chalta hai
main wo KHamosh basti hun umidon ke samundar mein
ki jis ki KHamushi ki tah mein ek tufan palta hai
muqaddar ke likhe par mutmain hone ko ho jaun
magar ye dard rah rah kar jo pahlu mein machalta hai
'salam' ek din pahunch hi jaenge un ke bhi daman tak
ye shoale jin ki garmi se mera ang ang jalta hai
Ghazal
Dil-e-majruh jab bhi ek nai karwaT badalta hai
Ain Salam