dil-e-KHulus-gazida ko koi kya jaane
main chahta hun ki duniya mujhe na pahchane
suno na meri shikasta-e-dili ke afsane
ki mere samne toDe gae hain paimane
jo kah raha tha to kuchh bhi suna na duniya ne
jo chup hua hun to banne lage hain afsane
wo gham sameT liye main ne zindagi ke liye
teri nigah-e-karam bhi jinhen na pahchane
guzar gae hain wo lamhe bhi ishq mein ai dost
tere baghair bhi jab KHush rahe hain diwane
ye chandni ye sitare kahan gae aaKHir
nazar to KHair gai hai kisi ko pahunchane
meri hansi mein magar zahr ghul gaya 'nazish'
main chahta tha mera gham koi na pahchane
Ghazal
Dil-e-KHulus-gazida ko koi kya jaane
Nazish Partap Gadhi