dil-e-KHilqat-e-KHuda ko sanama jala na chandan
ki falak ke par pahunche taf-e-ah-e-dard-mandan
kahen kya ki dekhte hain tujhe ghair sath KHandan
rahe honT ho chabaate ba-jigar-fashurda-dandan
wahin jhaD-gulon ke tude bandhen gulbanon ke niche
kabhu subh-dam chaman mein jo wo ghuncha-lab ho KHandan
kaho kya barrar-sohbat meri us ki ho azizan
dil-e-nazuk apna shisha dil-e-sang us ka sandan
na bachega said un se koi aahu-e-haram tak
jo rahe shikar-afgan yahi ambarin-kamandan
kabhu rang se hina ke sar-e-dast-o-pa nigarin
na siwa-e-KHun-e-ashiq karen ye nigar-bandan
na ho ghair sath har-dam mutabassim ai pari-wash
na namak-fishan ho dil ke sar-e-rish mustamindan
kiye shana rish ko yan abas aae shaiKH ji tum
ki ye jam-e-bazm-e-rindan hai fariq-e-rish-KHandan
nahin fal lab pe us ke ye hai mehr KHamushi ki
wahi samjhe hai ye nukta ki jo hai baDa suKHan-dan
kahin sarw se mushabah tere qad ko past-fitrat
ye hai gosh-zad hamare suKHan-e-nazar-bulandan
sabhi mahw-e-KHud-numai ba-misal-e-aina hain
ye KHudai se nirala hai giroh-e-KHud-pasandan
teri wasf ka kamar ke na bandha kisi se mazmun
rahe KHwab mein adam tak jo kai KHayal bandan
'muhib' is ada ke sadqe ki uThae mar Thokar
sar-e-pa-e-naznin se wo sar-e-niyaz-mandan
Ghazal
Dil-e-KHilqat-e-KHuda ko sanama jala na chandan
Waliullah Muhib