dil-e-hazin ko tamanna hai muskurane ki
ye rut KHushi ki hai ya rit hai zamane ki
bana gain use pechida nit-nai sharhen
khuli hui thi haqiqat mere fasane ki
haram ke pas pahunchte hi thak ke baiTh gae
wagarna rah to li thi sharab-KHane ki
kisi ke saya-e-gesu ki baat chhiDti hai
mere qarib rahen gardishen zamane ki
main tere gham ka bhi thoDa sa jaeza le lun
kabhi mile mujhe fursat jo muskurane ki
sameT len mah o KHurshid raushni apni
salahiyat hai zamin mein bhi jagmagane ki
bhala 'imam' tahajjud guzar kya jaanen
ki raat kitni hasin hai sharab-KHane ki
Ghazal
Dil-e-hazin ko tamanna hai muskurane ki
Mazhar Imam