اردو हिंदी
Dil-e-girafta ke sab pech-o-tab khol ke dekh | Shaahi Shayari
dil-e-girafta ke sab pech-o-tab khol ke dekh

Ghazal

Dil-e-girafta ke sab pech-o-tab khol ke dekh

Javed Shaheen

;

dil-e-girafta ke sab pech-o-tab khol ke dekh
hawa ka zor muhit-e-hubab khol ke dekh

mere lahu ko numaish-gah-e-wafa se uTha
hai jama o KHarch bahut ye hisab khol ke dekh

ye kis ke zulm se har shai hai misl-e-sang KHamosh
ai naqsh-gar dar-e-shahr-e-KHarab khol ke dekh

kahin to dasht mein Thahregi mauj-e-ab-e-gurez
rawan hua hai to raaz-e-sarab khol ke dekh

dhaDakte dil se na maujon ki razm-gah mein utar
KHat-e-safar ko kaf-e-dast-e-ab khol ke dekh

hain kab se tishna-e-mani mere huruf-e-badan
faragh ho to kabhi ye kitab khol ke dekh

zara suragh laga mere rang-e-KHasta ka
ghamon ki dhup mein band-e-naqab khol ke dekh

gulon ko kis liye Dasti hain chandni raaten
kahan hai zahr rag-e-mahtab khol ke dekh

maza to jab hai ki gulshan mein jashn-e-shoala ho
bhari bahaar mein dagh-e-gulab khol ke dekh

kanar-e-dasht-e-bala kaun hai makin 'shahin'
KHamosh suni haweli ka bab khol ke dekh