dil-e-fasurda pe sau bar tazgi aai
magar wo yaad ki ja kar na phir kabhi aai
chaman mein kaun hai pursan-e-haal shabnam ka
gharib roi to ghunchon ko bhi hansi aai
ajab na tha ki gham-e-dil shikast kha jata
hazar shukr tere lutf mein kami aai
zamana hansta hai mujh par hazar bar hanse
tumhaari aankh mein lekin ye kyun nami aai
diye jalae ummidon ne dil ke gird bahut
kisi taraf se na is ghar mein raushni aai
hazar did pe pabandiyan thin parde the
nigah-e-shauq magar un ko dekh hi aai
kisi tarah na miTa 'arsh' dagh-e-kufrana
hamare kaam na sajde na bandagi aai
Ghazal
Dil-e-fasurda pe sau bar tazgi aai
Arsh Malsiyani