اردو हिंदी
Dil-e-diwana arz-e-haal par mail to kya hoga | Shaahi Shayari
dil-e-diwana arz-e-haal par mail to kya hoga

Ghazal

Dil-e-diwana arz-e-haal par mail to kya hoga

Qabil Ajmeri

;

dil-e-diwana arz-e-haal par mail to kya hoga
magar wo puchh baiThe KHud hi haal-e-dil to kya hoga

hamara kya hamein to Dubna hai Dub jaenge
magar tufan ja pahuncha lab-e-sahil to kya hoga

sharab-e-nab hi se hosh uD jate hain insan ke
tera kaif-e-nazar bhi ho gaya shamil to kya hoga

KHirad ki rahbari ne to hamein ye din dikhae hain
junun ho jaega jab rahbar-e-manzil to kya hoga

koi puchhe to sahil par bharosa karne walon se
agar tufan ki zad mein aa gaya sahil to kya hoga

KHud us ki zindagi ab us se barham hoti jati hai
unhen hoga bhi pas-e-KHatir-e-'qabil' to kya hoga