dil-e-betab ko bahla chuki hun
sitare aasman se la chuki hun
nigah-e-kahkashan se puchh lena
shua-e-zindagani pa chuki hun
KHirad ki tang wadi se nikal kar
junun ki manzilat apna chuki hun
andheron mein charaghan karne walo
ujalon mein andhera pa chuki hun
zamin ki pastiyon ko kyun gila hai
jinhen main aasman batla chuki hun
jahan par aql ruk jati hai aksar
tasawwur mein wahan tak ja chuki hun
tere kirdar mein muzmar hai azmat
tujhe ai zindagi samjha chuki hun
mohabbat sirf ruhani kashish hai
gham-e-hasti tujhe apna chuki hun
shuur-e-zist na-mumkin nahin hai
nigah maut ko sharma chuki hun
azizo ba-wafa fazl-e-KHuda se
maqam-e-bandagi apna chuki hun
Ghazal
Dil-e-betab ko bahla chuki hun
Aziz Badayuni