dil-e-betab ke hamrah safar mein rahna
hum ne dekha hi nahin chain se ghar mein rahna
swang bharna kabhi shahi kabhi durweshi ka
kisi surat se mujhe us ki nazar mein rahna
ek haalat pe basar ho nahin sakti meri
jama-e-KHak kabhi KHilat-e-zar mein rahna
din mein hai fikr-e-pas-andazi-e-sarmaya-e-shab
raat bhar kawish-e-saman-e-sahar mein rahna
dil se bhage to liya dida-e-tar ne goya
aag se bach ke nikalna to bhanwar mein rahna
ahl-e-duniya bahut aaram se rahte hain magar
kab mayassar hai teri rahguzar mein rahna
wasl ki raat gai hijr ka din bhi guzra
mujhe waraftagi-e-haal-e-digar mein rahna
kar chuka hai koi aflak o zamin ki takmil
phir bhi har aan mujhe arz-e-hunar mein rahna
Ghazal
Dil-e-betab ke hamrah safar mein rahna
Ahmad Javed