اردو हिंदी
Dil-e-be-qarar chala to tha gila-e-hayat liye hue | Shaahi Shayari
dil-e-be-qarar chala to tha gila-e-hayat liye hue

Ghazal

Dil-e-be-qarar chala to tha gila-e-hayat liye hue

Moghisuddin Fareedi

;

dil-e-be-qarar chala to tha gila-e-hayat liye hue
gham-e-ishq ruh pe chha gaya gham-e-kaenat liye hue

kabhi be-irada chhalak gai thi kisi ke zikr pe chashm-e-nam
wo hain mujh se aaj bhi bad-guman wahi ek baat liye hue

mere dil ke sath hi chhin le meri KHud-shanas nigah bhi
main tere qarib na aaunga ye tawahhumat liye hue

kabhi tujh pe apna guman hai kabhi KHud pe tera guman hai
mere kirdgar kahan rahun ye tasawwuraat liye hue

shab-e-intizar ke baad phir na hui tulu koi sahar
meri umr sari guzar gai yahi ek raat liye hue

tujhe naz-e-zabt baja sahi magar ai 'faridi'-e-sada-dil
koi chashm-e-shoala-mizaj hai tere dil ki baat liye hue