dil-e-be-muddaa ka muddaa kya
use yaksan rawa kiya narawa kya
jinhen har sans bhi ek marhala hai
unhen ras aae duniya ki hawa kya
koi sunta nahin hai muflison ki
gharibon ka payambar kya KHuda kya
nigah-e-dost mein jachta nahin jab
to phir main kya mera zehn-e-rasa kya
baDa achchha kiya aaj aa gae tum
chalo chhoDo na aae kal hua kya
jo KHud dast-e-talab phaila raha ho
sakhi bhi ho to us ka aasra kya
agar majbur hai jine par insan
to phir kaise kaTe ye sochna kya
Ghazal
Dil-e-be-muddaa ka muddaa kya
Davarka Das Shola